BHIM App Kya Hai ! Bhim App Ko Kaise Use Kare , Or Bhim App Ki Kuch Khas Baate

Hello Friends ! Bhim App E-wallet Se Bilkul Alag Hai Kyuki Ye Live Transaction Sidhe Aapke Account Se Karta Hai Kyuki Ye Sidhe Aapke  Bank Account Se Link Hai . 31 December 2016 Ko Bhim App Ko Pardhan Mantri Modi Ji Ne Digital Payment Or Cashless Ko Bhadawa Dene Ke Liye Lunch Kiya Hai . Lakin 3 Se 4 Din Mai Bhim App Internet Par Suparhit Ho Gaya Hai . Wo Isliye Bhim App Ko Ab Tak Google Play Store Par 30 Lakhs Se Jada Logo Ne Is Application Ko Download Kiya Hai Or 5 Lakhs Se Jada Is Par Len-den Ki Transaction Ki Ja Chuki Hai Jiske Karan Ye Play Store Par No.1 Mai Aa Gaya Hai . Bhim Application Ka Pura Name Bharat Interface For Money Payment Platform Hai . Bhim Application UPI or IMPS Service Se Less Hai Jissay Quickly Payment Ki Ja Sacti Hai .
 
Bhim App Ki Kuch Khas Baate

Bhim App Filhal Android Ke Liye Lunch Hua Hai . Abhi Filhal Ye Iphone Or IOs Par Nahi Aaya Hai . Kuch Samay Baaad Isko Update Kiya Jayega.

Bhim App Ko Use Karne Ke Liye Aapko Internet Ki Koi Jarurat Nahi Hai. Ye Offline Bhi Work Karta Hai. Ho Sacta Hai Ye Aapke Mobile Balance Mai Se Kuch Sms Charge Le.

Bhim App Ko Use Karne Ke Liye Aapko Net Banking Ki Koi Jarurat Nahi Hai Ye Sidhe Aapke Bank Account Se Link Hota Hai. Bus Aapka Mobile Number Aapse Bank Account Se Link Hona Chaiye
Bhim App Aapse Transaction Ki Koi Fees Nahi Leta . Lakin Ho Sacta Hai Aapka Bank Aapse Upi Or Imps Ki Transaction Fees Le.


 

Comments

Popular posts from this blog

MIFEGEST KIT

Mcent Browser 1