Saas Bahu Ke Rishte Ko Kaise Sambhale – सास बहू के रिश्ते को कैसे संभाले

Saas Bahu Ke Rishte Ko Kaise Sambhale सास बहू के रिश्ते

Kisi bhi sayunkt parivar me saas aur bahu adhiktam samay ek dusre ke saath vyatit karti hai kyunki dono par hi ghar ke kaamkaj ki jimmedari hoti hai.  Ghar me ashanti ka mukhya karan bhi saas aur bahu ke katu sambandh hote hai. Yadi bahu apne saas sasur ke saath kuch nimna likhit batton ko apnaye to avashya hi ve sabke dil jeetne me kamyab ho sakti hai. Aaj hum janenege saas bahu ke rishte ko kaise sambhale achi bahu ke gunBujurgon ke janamdin, vivah, varshghanth aadi par unki pasand ke phool ya unki priye vastu bhent kare. Jaise unke man pasand gaano ki cd ya dvd ya fir unki psandida koi kitab aadi aise avasaron par unhe candel dinner par le jaye  athva ghar par unki pasand dish taiyar kare.  Unke chehre par aane vaali muskan aur santosh aapko gaurvanit karegi aur unke dilon me aapke liye pyar aur sneh badhaega. Ek bahu apna pura jivan bina kisi swarth ke parivaar aur apno ke prati apne zimmedario ko pura karne main laga deti hain. Toh kisi bhi surat main ek bahu si mahan aur sreshta koi bhi nahi ho sakta. Toh aaiye jante hain ki ek acchi bahu main kaun kaun se gun hone chahiye

Apni zimmedario ko samjhe

Ek ghar ko acche se chalane ke liye zaruri hain ki uss ghar ka har insan apni apni zimmedario ko acche se samjhe. Jaisa ki hum sab jante hain ki ek bahu hi ghar ki dharohar hoti hain. Saral bhasha main kahe toh kisi bhi ghar ki puri zimmedari uss ghar ki bahu ke upar hi hoti hain. Ayese main ek bahu agar apni zimmedario ko acche se samjhe toh ghar bhi acchi tarah se chalta hain. Isiliye ek acchi bahu wahi hoti hain jo apne ghar ke prati, apne gharwalo ke prati

Apne sasural ko apna ghar samjhe


Ek acchi bahu wahi hoti hain jo apne mayka ke sath sath apne sasural ko bhi apna ghar samjhe. Kyuki jab tak woh apne sasural ko apna ghar nahi samjhegi tab tak woh apne sasural walo ko nahi apna paygi. Aur ek ghar swarg tabhi ban sakta hain jab uss ghar ke sare log ek duje ko apna samjhe.
Thoda samay nikal kar parivar ke bujaragon ke saath baithkar samay vyatit kare. Unki bhavnaon ko samjhe unki sharirik aur mansik samsayaon ko sune. Unki purani yaddon ko share kare. Is prakar se unke man ka bojh halka hoga.
Apne bachchon se apne dada dadi ke saath samay dene ka agrah kare.  Bachchon ko unke gyan ka laabh milega. Yahi bujurgon ko parivar me apna mahatva dikhai dega. Saath hi bachchon ki atpati harkaton, shararton se unka manoranjan hoga.
Apne kary aur vyavhaar dvara unka dil jeet kar unke anubhavo ka laabh utha sakti hai aur parivar ko khushiyon se bhar sakti hai kathin paristhiti me bhi bujurgon ka anubhav aur unki salah sahayak sidh ho sakti hai.
Jab kabhi bujurg tanashahi aur dakhalandaji vali prakrti rakhte hai to vishesh sayyam aur dheirya ka parichaye dena hota hai.  Aise bujurgon ke saath behas na kare. Kisi bhi takraab ki sthiti se bache aur jo bhi sambhav ho adhiktam apne kartavyon ka palan karti rahe.  Man ko vyathit kare bina unke svabhav ko usi prakar apnane sa prayas kare apna vayaktik parivarik jeevan kalushit hone se bachaye.  Avachaniye sandharbhon me duri banane ka prayas kare.

Comments

Popular posts from this blog

MIFEGEST KIT

Mcent Browser 1