Posts

Showing posts from July, 2016

Jaldi Neend kaise laye Hindi

Image
Jaldi Neend Kaise Aaye – Neend Aane Ke Nuskhe – Hindi Me. Anekon log nind na aane ki samasya ka samna kar rahe hain.  Nind nahi aana ya der se aana, ek badi samsya hai jo hamare sone ke samay ko kam kar hamin din bhar thakan ka ahsas karati hai. Nind ki kami hamare jiwan ko prabhavit karti hai aur hamara swathya, mann, karya pranali, sabhi kuch prabhavit hota hai. Lekin nind na aane ki samasya se pareshan logon ko chinta ki zaroorat nahi hai.  Kuch dainik yojana banakar, kuch dhariya rakhkar, aur kuch prayason se aap nind na aanye ki pareshanee ko door kar sakte hain aur jaldi nind prapt kar sakte hain. Aaiye jane Jaldi Neend Kaise Aaye – Neend Aane Ke Nuskhe – Hindi Me.                                                     Apni chintaon ko hatayen Yadi apko chintayen pareshan karti hain to sone ke 15 minute pehle apni ankhon ko band kijiye aur un sari baaton ko sochiye jo apko chinta detee hain. Ab un batoon ko likhen aur phir us kagaz ko phhad kar mahsoos karen ki ye baten kuch